sharh-e-firaq madh-e-lab-e-mushkbu karen
ghurbat-kade mein kis se teri guftugu karen
yar aashna nahin koi Takraen kis se jam
kis dil-ruba ke nam pe KHali subu karen
sine pe hath hai na nazar ko talash-e-baam
dil sath de to aaj gham-e-arzu karen
kab tak sunegi raat kahan tak sunaen hum
shikwe-gile sab aaj tere ru-ba-ru karen
hamdam hadis-e-ku-e-malamat sunaiyo
dil ko lahu karen ya gareban rafu karen
aashufta-sar hain muhtasibo munh na aaiyo
sar bech den to fikr-e-dil-o-jaan adu karen
tar-damani pe shaiKH hamari na jaiyo
daman nichoD den to farishte wuzu karen
Ghazal
Sharh-e-firaq madh-e-lab-e-mushkbu karen
Faiz Ahmad Faiz