اردو हिंदी
Sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin | Shaahi Shayari
sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin

Ghazal

Sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin

Hafiz Taib

;

sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin
koi tara koi jugnu bhi nahin

jaane tai manzil-e-shab ho kaise
dur tak nur ki KHushbu bhi nahin

hum sa be-maya koi kya hoga
apni aankhon mein to aansu bhi nahin

jis bayaban mein junun laya hai
us mein to yaad ke aahu bhi nahin

jaane is zid ka natija kya ho
manta dil bhi nahin tu bhi nahin