اردو हिंदी
Sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum | Shaahi Shayari
sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum

Ghazal

Sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum

Wali Mohammad Wali

;

sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum
kabhu be-KHud kabhu hushiyar hain hum

do-rangi sun teri ai sarw-e-rana
kabhu raazi kabhu bezar hain hum

tere tasKHir karne mein sirijan
kabhi nadan kabhi ayyar hain hum

sanam tere nayan ki aarzu mein
kabhu salim kabhi bimar hain hum

'wali' wasl-o-judai sun sajan ki
kabhu sahra kabhu gulzar hain hum