shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai
dariya ki mauj sar ko paTak kar guzar gai
tohmat ka sail subh ko uThne laga ki shab
dastak thi ek dar pe sada dar-ba-dar gai
ghaarat-gar-e-sukun thin nawa-ha-e-KHun-e-balb
jangal ki sham shahr mein aai to Dar gai
rota phirega raat ke raston pe mahtab
aaghosh-e-arz-KHak to suraj se bhar gai
aaram-e-jaan tha KHwab-e-sukun aankh jab khuli
sail-e-fana utar gaya miTTi bikhar gai
na-karda kariyon ki pashemaniyan na puchh
umr-e-aziz DhunDte phiriye kidhar gai
tere huzur kaun sa nazrana tha qubul
dil sa guhar bhi le ke meri chashm-e-tar gai
diwar-o-dar pe jin ke lahu bolta raha
mauj-e-fana wo sare makan Dher kar gai
KHushbu-e-marg ka na Thikana mila koi
main bhi ghubar-e-rah raha wo jidhar gai
ab gosh-bar-sada hue hum dosto to kya
aawaz dur ki thi samaat-safar gai

Ghazal
Shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai
Shafqat Tanveer Mirza