اردو हिंदी
Shama ki tarah shab-e-gham mein pighalte rahiye | Shaahi Shayari
shama ki tarah shab-e-gham mein pighalte rahiye

Ghazal

Shama ki tarah shab-e-gham mein pighalte rahiye

Malikzada Manzoor Ahmad

;

shama ki tarah shab-e-gham mein pighalte rahiye
subh ho jaegi julte hain to jalte rahiye

waqt chalta hai uData hua lamhat ki gard
pairahan fikr ka har rose badalte rahiye

aaina samne aaega to sach bolega
aap chehre jo badalte hain badalte rahiye

aai manzil to qadam aap hi ruk jaenge
zist ko rah-e-safar jaan ke chalte rahiye

subh ho jaegi hath aa na sakega mahtab
aap agar KHwab mein chalte hain to chalte rahiye

ahd-e-imroz ho ya wada-e-farda 'manzur'
TuTne wale khilaune hain bahalte rahiye