sham-o-gul ne saj to di mahfil teri tere baghair
wo rahi apni jagah jo thi kami tere baghair
aamad-o-raft-e-nafas dushwar thi tere baghair
ek nashtar sa chubha jab sans li tere baghair
ho gain thin sab bhali baaten buri tere baghair
han magar achchhi hui to shairi tere baghair
hae dil jis ki umangen thin bahaaren bagh ki
wo meri jannat jahannam ban gai tere baghair
tha bahut mumkin ki bach jati gham-e-duniya se jaan
sach to ye hai hum ne koshish bhi na ki tere baghair
mujh ko rone se mile fursat to phir DhunDun use
hans raha hai kaun qismat ka dhani tere baghair
jaane wale ja KHuda hafiz magar ye soch le
kuchh se kuchh ho jaegi diwangi tere baghair
tere diwane bhi puje jaenge ek din yun hi
ho rahi hai jaise teri bandagi tere baghair
tera 'manzar' jo kabhi tha andalib-e-KHush-nawa
kho gaya duniya se yun chup sadh li tere baghair
Ghazal
Sham-o-gul ne saj to di mahfil teri tere baghair
Manzar Lakhnavi