sham-e-kushta ki tarah main teri mahfil se uTha
aah kaisi wo dhuan tha jo bujhe dil se uTha
khel hai hasti-e-mauhum magar hai dilchasp
jo yahan baiTh gaya aa ke wo mushkil se uTha
tu ne ye kis ko uThaya hai ki dil baiTh gae
kaun baiTha hai ki fitna teri mahfil se uTha
kaun gharqab hua hai ki uData hua KHak
aaj be-tab bagula lab-e-sahil se uTha
ham-safar hai koi uftad to pesh aane ko
ki qadam aaj ulajhta hua manzil se uTha
ji churane ki nahin shart dil-e-zar yahan
ranj uThane hi ki Thahri hai to phir dil se uTha
ahl-e-haq bhi yahin mil jaenge uTh to 'natiq'
haq ki aawaz to but-KHana-e-baatil se uTha
Ghazal
Sham-e-kushta ki tarah main teri mahfil se uTha
Natiq Gulavthi