shajar samajh ke mera ehtiram karte hain
parinde raat ko mujh mein qayam karte hain
suno tum aaKHir-e-shab guftugu daraKHton ki
ye kam-kalam bhi kya kya kalam karte hain
kahan ki zindagi hum ko to sharm mar gai
ki teri chiz hai aur tere nam karte hain
hamein to is liye ja-e-namaz chahiye hai
ki hum wajud se bahar qayam karte hain
agar kabhi mujhe maujudgan se fursat ho
to raftagan meri ninden haram karte hain
lahu ke ghunT na pita to aur kya karta
wo kah rahe the tera intizam karte hain
hamein samaat-e-be-lafz ki ijazat hai
hamare sath parinde kalam karte hain
abhi to ghar mein na baiThen kaho buzurgon se
abhi to shahr ke bachche salam karte hain
Ghazal
Shajar samajh ke mera ehtiram karte hain
Abbas Tabish