shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya
magar ek naKHl-e-ah us mein na hum ne kuchh asar paya
bura to mante hain mere ro ro arz karne par
bhala tum ne kabhi kuchh hans ke mere haq mein farmaya
jahan ek hasti-e-be-bud hai jyun aks-e-aina
jo hum ne ghaur kar dekha to dhoka hi nazar aaya
Ghazal
Shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya
Gulam Yahya Huzur Azimabadi

