shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
bech len fauran dair-o-haram bhi paen kahin gar dam munasib
mera to har ek fel abas hai ghair ka har iqdam munasib
waqia ye hai piw jise chahen us ka suhagan nam munasib
waqt ka paiham yun hai taqaza rahbar-e-sad-sala ko haTa do
jaise purani chiz ka akasr hota hai nilam munasib
KHauf hai din ko dekhe na duniya ho na taqaddus aap ka ruswa
qasd hai mai-KHane ka jo waiz is ke liye hai sham munasib
tere taghaful ne kiya zaKHmi teri adaon ne hamein mara
chahne walon ke liye zalim the yahi atom-baam munasib
tujh ko KHabar kya is ki nahin hai sathi kahan se pahunche kahan tak
hosh mein aa aaram ke bachche ab hai nahin aaram munasib
ye teri sada-lauhiyan naseh rang kisi din la ke rahengi
KHub banegi teri hajamat mil gae gar hajjam munasib
sim-o-jawahar mah-laqa le apni harim-e-naz saja le
KHub maze duniya ke uDa le hain abhi ye ayyam munasib
baat bhi un se ki na kisi ne aarzu dil ki rah gai dil mein
ghar mein hi baiThi rah gai laDki aaya na ek paigham munasib
shaiKH o barhaman se koi kah de ruKH na karen bhule se udhar ka
ye hai mai-KHana nahin is mein daKHila-e-ayyam munasib
jaur-o-sitam Dhane mein jo paiham aaya hai un ke ruKH pe pasina
hai mere armanon ke nahane ke liye ye hammam munasib
baat koi izhaar-e-haqiqat mein bhi uTha rakhna nahin zalim
'shauq' kabhi ashaar mein jaise hota nahin ilham munasib

Ghazal
ShaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
Shauq Bahraichi