shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain
phir log mere andar sunsan ho gae hain
in duriyon ki mushkil aaankhon mein bujh gai hai
hum aansuon mein bah kar aasan ho gae hain
aisi KHamoshiyan hain sab raste juda hain
alfaz mein jazire viran ho gae hain
tum barf mein na jaane kab se jame hue ho
hum jaane kis hawa ka tufan ho gae hain
jismon ki sardiyon mein phir jal gae hain rishte
sab ek dusre ke mehman ho gae hain
Ghazal
Shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain
Tanveer Anjum