shahr shahr DhunD aae dar-ba-dar pukar aae 
sina-chaak nikle the aur dil-figar aae 
hum ki the tahi-daman dost aur kya karte 
zindagi si dilkash shai tere gham mein haar aae 
tere dar se gham le kar jab gunahgar uThe 
mai-kadon ka kya kahna masjiden sanwar aae 
laghzishon se wabasta laghzishen qayamat ki 
raat kuchh ajab dhun mein tere baada-KHwar aae 
dosto bas is lamha hum ko yaad kar lena 
jab kabhi gulistan mein mausam-e-bahaar aae
        Ghazal
Shahr shahr DhunD aae dar-ba-dar pukar aae
Ajmal Ajmali

