shahr sahra hai ghar bayaban hai
dil kisi anjuman ka KHwahan hai
mujh se kahti hain wo udas aanhken
zindagi bhar ki sab thakan yan hai
KHwab TuTe paDe hain sab mere
main hun aur hairaton ka saman hai
har masarrat gundhi hui dukh mein
arz-e-azdad dasht-e-imkan hai
tu samundar ki be-kanari dekh
us mein mear-e-zarf pinhan hai
hain rawa sare na-rawa us ko
ye nae mausamon ka insan hai
mar ke pahuncha to hun lab-e-dariya
KHali ab tishnagi ka daman hai
sab ne 'shahid' chune pasand ke phul
gul-kada phir bhi gul-ba-daman hai
Ghazal
Shahr sahra hai ghar bayaban hai
Siddiq Shahid