اردو हिंदी
Shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka | Shaahi Shayari
shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka

Ghazal

Shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka

Hasan Aabid

;

shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka
har koi rup bhare phirta hai diwane ka

rind-o-waiz the baham dast-o-gareban kal raat
jaane kya haal hua shisha-o-paimane ka

shab ka aalam tha juda din ke taqaze kuchh aur
us se kya zikr karen raat ke afsane ka

tar-ba-tar KHun mein hai daman-e-ummid-e-bahaar
hath mein zaKHm hai TuTe hue paimane ka

us ki aankhon mein wahi rang wahi husn-e-talab
dil ko samjhaen magar faeda samjhane ka

sahn masjid ka hai aur 'hafiz'-o-'KHayyam' ke sher
jam-e-ghayab mein magar rang hai mai-KHane ka