اردو हिंदी
Shahr mein jab bhi zuleKHa se KHaridar aae | Shaahi Shayari
shahr mein jab bhi zuleKHa se KHaridar aae

Ghazal

Shahr mein jab bhi zuleKHa se KHaridar aae

Sarshar Siddiqui

;

shahr mein jab bhi zuleKHa se KHaridar aae
kitne yusuf the ki KHud hi sar-e-bazar aae

chheD di qamat-o-gesu ki hikayat hum ne
kisi surat se to zikr-e-rasan-o-dar aae

jab bhi zindan mein asiron ko mila muzhda-e-gul
meri nazron mein tumhaare lab-o-ruKHsar aae

dusri rah-e-wafa mein koi manzil hi na thi
jo teri bazm se uTThe wo sar-e-dar aae

jab kya tark-e-tamanna ka irada hum ne
samne kitne hi TuTe hue pindar aae

hosh-mandon ne saja li gham-e-dil ki mahfil
hum se diwane sar-e-anjuman-e-dar aae

hum se sikhe koi aadab qadah-noshi ke
hum ki maiKHane mein ghafil gae hoshiyar aae

ghaur se dekh suKHan-fahmon ke chehre 'sarshaar'
kitne is shakl mein 'ghaalib' ke taraf-dar aae