shahr lagta hai bayaban mujhe
kahin milta nahin insan mujhe
main tera naqsh-e-qadam hun ai dost
apne andaz se pahchan mujhe
main tujhe jaan samajh baiTha hun
apne sae ki tarah jaan mujhe
tu kahan hai ki tere parde mein
liye phirta hai tera dhyan mujhe
teri KHushbu ko saba lai thi
kar gai aur pareshan mujhe
sar-o-saman-e-do-alam hun main
kyun kaho be-sar-o-saman mujhe
meri hasti tera afsana thi
maut ne de diya unwan mujhe
dil ki dhaDkan pe guman hota hai
DhunDhta hai koi har-an mujhe
main bhi aaina hun tera lekin
tu ne dekha kabhi hairan mujhe
un ki nisbat ka karishma hai 'zafar'
kahte hain yusuf-e-kanan mujhe
Ghazal
Shahr lagta hai bayaban mujhe
Yusuf Zafar