اردو हिंदी
Shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun | Shaahi Shayari
shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun

Ghazal

Shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun

Azhar Hashmi

;

shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun
maqtal zist ko aaKHir main kahan tak dekhun

phir ye manunga KHamoshi pe zawal aaya hai
dil dhaDakne ki sada jab main zaban tak dekhun

ye tamanna hai KHuda aalam-e-hasti mein tere
main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun

jab ki ab rabta rakhne ka bahut hai imkan
phir bhi viraniyan phailin hain jahan tak dekhun

kya tasawwur meri aankhon ne nawaza hai mujhe
KHud ko dekhun to main ehsas-e-ziyan tak dekhun

manta hun ki hai zulmat-e-azal us ka nasib
raat ki zid hai use apni fughan tak dekhun

ye bhi aslaf ki tahzib hai 'azhar' main yahan
apna kirdar tamam amn-e-aman tak dekhun