اردو हिंदी
Shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna | Shaahi Shayari
shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna

Ghazal

Shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna

Saeed Akhtar

;

shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna
sard raaton mein kabhi ghar se nikal kar dekhna

ye samajh lo tishnagi ka daur sar par aa gaya
raat ko KHwabon mein rah rah kar samundar dekhna

kis ke hathon mein hain patthar kaun KHali hath hai
ye samajhne ke liye shisha sa ban kar dekhna

be-hisi hai buz-dili hai hausla-mandi nahin
baiTh kar sahil pe tufanon ke tewar dekhna

ai mere aangan ke sae ai mere phaldar peD
teri qismat mein hai ab patthar hi patthar dekhna

ye sitam ye shorishen tamhid hain is baat ki
basti basti har taraf KHun ka samundar dekhna