اردو हिंदी
Shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain | Shaahi Shayari
shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain

Ghazal

Shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain

Azhar Naqvi

;

shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain
kya bala utri hai kyun diwar-o-dar KHamosh hain

wo khulen to hum se raaz-e-dasht-e-wahshat kuchh khule
lauT kar kuchh log aae hain magar KHamosh hain

ho gaya gharqab suraj aur phir ab us ke baad
sahilon par ret uDti hai bhanwar KHamosh hain

manzilon ke KHwab de kar hum yahan lae gae
ab yahan tak aa gae to rahbar KHamosh hain

dukh safar ka hai ki apnon se bichhaD jaane ka gham
kya sabab hai waqt-e-ruKHsat ham-safar KHamosh hain

kal shajar ki guftugu sunte the aur hairat mein the
ab parinde bolte hain aur shajar KHamosh hain

jab se 'azhar' KHal-o-KHad ki baat logon mein chali
aaine chup-chap hain aaina-gar KHamosh hain