shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan
zindagi aa ja kabhi hum be-gharon ke darmiyan
main hun wo taswir jis mein hadse bharte hain rang
KHal-o-KHat khulte hain mere KHanjaron ke darmiyan
pahle hum ne ghar bana kar fasle paida kiye
phir uTha din aur diwaren gharon ke darmiyan
ahd-e-hazir mein uKHuwwat ka tasawwur hai magar
tazkaron mein kaghazon par rahbaron ke darmiyan
un shahidan-e-wafa ke nam mere sab suKHan
sar-bulandi jin ko hasil hai saron ke darmiyan
kaisa fan kaisi zehanat ye zamana aur hai
sikh lo kuchh shobade bazigaron ke darmiyan
uD gaya to shaKH ka sara badan jalne laga
dhup rakh li thi parinde ne paron ke darmiyan
ye jo KHana hai sukunat ka yahan likh do 'bashir'
phul hun lekin khila hun pattharon ke darmiyan
Ghazal
Shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan
Bashir Farooqi