اردو हिंदी
Shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha | Shaahi Shayari
shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha

Ghazal

Shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha

Nazeer Akbarabadi

;

shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha

kya raha phir shahr-e-dil mein juz-hujum-e-dard-o-gham
thi jahan fauj-e-tarab wan lashkar-e-gham aa raha

aa raha aankhon mein dam to bhi na aaya wo sanam
haif kis se pochhiye ja kar ki wo kis ja raha