shahr-e-be-mehr mein milta kahan dildar koi
kash mil jata hamein majma-e-aghyar koi
chir de qalb-e-zamin toD de zanjir-e-zaman
chheD ab aisa fasana-e-dil-e-nadar koi
nala-e-dil se jigar hota hai chhalni yarab
sabr karti hun to chal jati hai talwar koi
bujh gai rah-e-wafa Dub gai subh-e-umid
le ke ab aaega kya wada-e-didar koi
ek ek kar ke hui bazm-e-mohabbat KHali
nazar aata nahin ab yar wafadar koi
jaane kin jabr ki zanjiron mein jakDi hai hayat
hain kahin chaara-e-wahshat ke bhi aasar koi
ye zabann-bandi-e-ehsas ye jabr haalat
jurm hai khole agar dida-e-bedar koi

Ghazal
Shahr-e-be-mehr mein milta kahan dildar koi
Sajida Zaidi