shahr-e-alam ka shahryar aa gaya
sar-barahna mera tajdar aa gaya
subh-e-KHandan liye ru-e-taban liye
sham-e-ghurbat tera gham-gusar aa gaya
sabr arzan hua jabr larzan hua
sahab-e-shan-e-sad-iKHtiyar aa gaya
nala-karo uTho sogwaro uTho
be-qararo koi be-qarar aa gaya
kaenat apni hai ab hayat apni hai
ghamkasho gham-zado gham-gusar aa gaya
taza ab gham na kar KHam ko ab KHam na kar
saqiya hasil-e-intizar aa gaya
jam chhalka diya shoala bhaDka diya
yaad aaKHir zuleKHa ka pyar aa gaya
raat khulne lagi chandni dhul gai
mah-wash mah-shikan mah-shiar aa gaya
zaKHm-e-pinhan mahak tair-e-jaan lahak
gul-badan gul-jabin gul-e-ezar aa gaya
baat kyun rok li aankh kyun nam hui
mujh ko dekho mujhe eatibar aa gaya
aap sochen nazar kis liye mast hai
aap ke sath abr-e-bahaar aa gaya
Ghazal
Shahr-e-alam ka shahryar aa gaya
Nazar Hyderabadi