shahr-ashob likhun shahr-e-tamanna likkhun
ai dayar-e-gham-e-jaanan mein tujhe kya likhun
nisbaten sari adhuri hain to rishta kaisa
ban ke wo mauj uThe KHud ko main dariya likkhun
be-hisi itni ki main KHud se bhi begana rahun
dard itna hai ki beganon ko apna likkhun
husn ke rup hain itne ki qalam hairan hai
ishq mein Dub hi jaun use yakta likkhun
apne ghar ki nai tariKH ke auraq pe ab
kahin dimak kahin makDi kahin jala likkhun
ek nazar samne diwar pe chaspan kar ke
apna anjam paDhun us ka sarapa likhun
umr-bhar ek hi taswir banai main ne
apni aawara-mizaji pe 'ziya' kya likkhun

Ghazal
Shahr-ashob likhun shahr-e-tamanna likkhun
Zia Faruqi