mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota
ki main rota hun pahron aur daman nam nahin hota
tera gham sahne wale par zamana muskuraata hai
magar har shaKHs ki qismat mein tera gham nahin hota
mah-o-KHurshid ki tabindagi kam hoti rahti hai
magar dagh-e-tamanna ka ujala kam nahin hota
abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad
mohabbat ka chaman minnat-e-kash-e-shabnam nahin hota
qayamat tak rahe saqi salamat tera mai-KHana
pilai hai kuchh aisi kaif jis ka kam nahin hota
waqar-e-ishq par us daur se bhi harf aata hai
'aziz-warsi' wo dard jo paiham nahin hota
Ghazal
مرا دیوانہ پن فرزانگی سے کم نہیں ہوتا
Aziz Warsi

