shahab-chehra koi gum-shuda sitara koi
hua tulua ufuq par mere dobara koi
umid-waron pe khulta nahin wo bab-e-visal
aur us ke shahr se karta nahin kinara koi
magar giraft mein aata nahin badan us ka
KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi
kahan se aate hain ye ghar ujalte hue lafz
chhupa hai kya meri miTTi mein mah-para koi
bas apne dil ki sada par nikal chalen is bar
ki sab ko ghaib se milta nahin ishaara koi
guman na kar ki hua KHatm kar-e-dil-zadagan
ajab nahin ki ho is rakh mein sharara koi
agar nasib na ho us qamar ki ham-safri
to kyun na KHak-e-guzar par kare guzara koi
Ghazal
Shahab-chehra koi gum-shuda sitara koi
Irfan Siddiqi