shaffaf sath-e-ab ka manzar kahan gaya
aaina chur chur hai patthar kahan gaya
rauzan khula tha dil ka hawaen bhi aai thin
lekin qarib-tar tha jo dilbar kahan gaya
ek wo ki jis ko fursat lutf-o-karam nahin
ek main ki sochta hun sitamgar kahan gaya
sine se us ka hath haTana muhaal tha
jate hue wo hath hila kar kahan gaya
pahle yahi taDap thi ki dastar kyun giri
aur ab ye sochta hun mera sar kahan gaya
ghar mein hun aur soch raha hun na jaane kyun
diwar-o-dar wahi hain mera ghar kahan gaya
sahil pe aa ke sochna 'anjum' fuzul hai
kashti kahan gai wo samundar kahan gaya

Ghazal
Shaffaf sath-e-ab ka manzar kahan gaya
Mushtaq Anjum