shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi
ye bastiyon ki faza kyun dhuan ugalne lagi
isi liye to hawa ro paDi daraKHton mein
abhi main khil na saka tha ki rut badalne lagi
utar ke naw se bhi kab safar tamam hua
zamin pe panw dhara to zamin chalne lagi
kisi ka jism agar chhu liya KHayal mein bhi
to por por meri misl-e-shama jalne lagi
main napta chala qadmon se apne sae ko
kabhi jo dasht-e-masafat mein dhup Dhalne lagi
meri nigah mein KHwahish ka shaiba bhi na tha
ye barf si tere chehre pe kyun pighalne lagi
hawa chali sar-e-sahra to yun laga jaise
rida-e-sham mere dosh se phisalne lagi
kahin paDa na ho partaw bahaar-e-rafta ka
ye sabz bund si palkon pe kya machalne lagi
na jaane kya kaha us ne bahut hi aahista
faza ki Thahri hui sans phir se chalne lagi
jo dil ka zahr tha kaghaz pe sab bikher diya
jo apne aap tabiat meri sambhalne lagi
jahan shajar pe laga tha tabar ka zaKHm 'shakeb'
wahin ye dekh le konpal nai nikalne lagi

Ghazal
Shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi
Shakeb Jalali