اردو हिंदी
Shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko | Shaahi Shayari
shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko

Ghazal

Shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko

Shahryar

;

shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko

siyah raat ne behaal kar diya mujh ko
ki tul de nahin paya kisi kahani ko

bajae mere kisi aur ka taqarrur ho
qubul jo kare KHwabon ki pasbani ko

aman ki ja mujhe ai shahr tu ne di to hai
bhula na paunga sahra ki be-karani ko

jo chahta hai ki iqbaal ho siwa tera
to sab mein banT barabar se shadmani ko