اردو हिंदी
Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya | Shaahi Shayari
shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya

Ghazal

Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya

Hari Chand Akhtar

;

shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke KHuda hone ka waqt aaya

unhen dekha to zahid ne kaha iman ki ye hai
ki ab insan ko sajda rawa hone ka waqt aaya

KHuda jaane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
KHuda se kah raha hun na-KHuda hone ka waqt aaya

hamein bhi aa paDa hai doston se kaam kuchh yani
hamare doston ke be-wafa hone ka waqt aaya

nawed-e-sar-bulandi di munajjim ne to main samjha
sagan-e-dahr ke aage KHuda hone ka waqt aaya