shab wasl ki bhi chain se kyunkar basar karen
jab yun nigahbani murgh-e-sahar karen
mahfil mein ek nigah agar wo idhar karen
sau sau ishaare ghair se phir raat bhar karen
tufan-e-nuh lane se ai chashm faeda
do ashk bhi bahut hain agar kuchh asar karen
aaz o hawas se KHalq hua hai ye na-murad
dil par nigah kya hai wo mujh par nazar karen
kuchh ab ke hum se bole to ye ji mein hai ki phir
naseh ko bhi raqib se aazurda-tar karen
wan hai wo naghma jis se ki huron ke hosh jaen
yan hai wo nala jis se farishte hazar karen
ahl-e-zamana dekhte hain aib hi ko bas
kya faeda jo 'shefta' arz-e-hunar karen
Ghazal
Shab wasl ki bhi chain se kyunkar basar karen
Shefta Mustafa Khan