shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen
aankh khul jae to dariya na kinara dekhen
dasht-e-aghosh mein ram-KHurda chikara dekhen
ye hasin KHwab bhi ek roz qazara dekhen
jaane kya surat-e-haalat raqam thi us mein
jo waraq chaak hua us ko dobara dekhen
nind aae bhi to tasbih-e-badan karte hue
aur phir sath uThen subh ka tara dekhen
dekhte dekhte gum hogae jal-thal se wo log
aish ko chaak karen dard ko pyara dekhen

Ghazal
Shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen
Abul Hasanat Haqqi