shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar
ho gaya subh ka mahka hua chehra patthar
kuchh anokhi to nahin meri mohabbat ki shikast
aaine jab bhi muqabil hue jita patthar
is tilismat ki wadi mein palaT kar bhi na dekh
warna ho jaega KHud tera sarapa patthar
yaad ki lahr baha lai hai kis des mujhe
hai yahan waqt ka bahta hua dariya patthar
kis ke paikar mein samata mere ehsas ka loch
main ne insan se KHajil ho ke tarasha patthar
teri aankhon mein abhi nind ke Dore kyun hain
yan to ek choT se ho jate hain bina patthar
kund kar deta hai yun zehan ko haalat ka zahr
jaise ban jae chamakta hua sona patthar
teri sochon ki qasam ai mere KHamosh KHuda
mujh se karte hain itaat ka taqaza patthar
mujh se mayus na palTe meri taqdir ke gham
meri ungli mein na tha koi chamakta patthar
kitni dildar hai sahil ki chamakti hui ret
ab nahin panw-tale koi nukila patthar
main sar-e-dar khaDa hun kai sadiyon se 'jalil'
kaun marega mere jism pe pahla patthar
Ghazal
Shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar
Hasan Akhtar Jaleel