اردو हिंदी
Shab KHumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-KHana tha | Shaahi Shayari
shab KHumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-KHana tha

Ghazal

Shab KHumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-KHana tha

Ehsan Danish

;

shab KHumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-KHana tha
aap hi mai aap hi KHum aap hi paimana tha

kaba-o-dair kalisa mein abas DhunDa kiye
dil ka har gosha maqam-e-jalwa-e-jaanana tha

rang laya hai bara-e-dida-e-anjam jo
shama har har zarra-e-KHak-e-par-e-parwana tha

KHami-e-zauq-e-nazar thi warna ai nakaam-e-ishq
zarre zarre se numayan jalwa-e-jaanana tha

phir wahi saut-e-tarab-afza bane firdaus-e-gosh
jis se ek aalam shahid-e-naghma-e-mastana tha

did ke qabil tamasha tha ye hangam-e-sahar
shama ka har sans mahw-e-matam-e-parwana tha

fitna-e-mazhab bhi KHud-bini ka ek andaz hai
warna kis ko imtiyaz-e-masjid-o-but-KHana tha