shab-e-wasl zid mein basar ho gai
nahin hote hote sahar ho gai
nigah ghair par be-asar ho gai
tumhaari nazar ko nazar ho gai
kasak dil mein phir chaaragar ho gai
jo taskin pahar dopahar ho gai
lagate hain dil us se ab haar jit
idhar ho gai ya udhar ho gai
jawab un ki jaanib se dene laga
ye jurat tujhe nama-bar ho gai
bure haal se ya bhale haal se
tumhein kya hamari basar ho gai
mayassar hamein KHwab-e-rahat kahan
zara aankh jhapki sahar ho gai
jafa par wafa to karun soch lo
tumhein mujh se ulfat agar ho gai
nigah-e-sitam mein kuchh ijad ho
ki ye to purani nazar ho gai
tasalli mujhe de ke jate to ho
mabaada jo ju-e-digar ho gai
kahin husn se bhi hai kahidgi
na hone ke qabil kamar ho gai
shab-e-wasl aisi khili chandni
wo ghabra ke bole sahar ho gai
kahi zindagi bhar ki shab wardat
meri ruh paigham-bar ho gai
kaho kya karoge mere wasl ki
jo mashhur jhuTi KHabar ho gai
gham-e-hijr se 'dagh' mujh ko najat
yaqin tha na hogi magar ho gai
Ghazal
Shab-e-wasl zid mein basar ho gai
Dagh Dehlvi