shab-e-wada kah gai hai shab-e-gham daraaz rakhna
ise main bhi raaz rakkhun ise tum bhi raaz rakhna
ye hai KHar KHar wadi yunhi zaKHm zaKHm chalna
ye hai pattharon ki basti yunhi dil-e-gudaz rakhna
hama-tan junun hun phir bhi rahe kuchh to parda-dari
ki bura nahin KHirad se koi saz-baz rakhna
mere naKHun-e-wafa par koi qarz rah na jae
tere dil mein jo girah hai use nim-baz rakhna
wahi lai jo an-suni bhi wahi 'shaz' naghmagi bhi
ye hisab-e-KHamushi bhi mere nai-nawaz rakhna

Ghazal
Shab-e-wada kah gai hai shab-e-gham daraaz rakhna
Shaz Tamkanat