shab-e-siyah pe wa raushni ka bab to ho
magar ye shart hai koi sitara-yab to ho
main harf ban ke teri ruh mein utar jaun
mera suKHan teri mahfil mein baryab to ho
sawad-e-shab ke safar mein sitara-war chalun
tere jamal ki lau meri ham-rikab to ho
kisi tarah to ghaTe dil ki be-qarari bhi
chalo wo chashm nahin kam se kam sharab to ho
asas-e-jism uThaun nae sire se magar
ye sochta hun ki miTTi meri KHarab to ho
wo 'aftab' lab-e-baam bhi utar aae
magar kisi mein use dekhne ki tab to ho
Ghazal
Shab-e-siyah pe wa raushni ka bab to ho
Aftab Hussain