shab-e-mah mein dekh us ka wo jhamak jhamak ke chalna
kiya intiKHab mah ne ye chamak chamak ke chalna
rawish-e-sitam mein aana to qadam uThana jaldi
jo rah-e-karam mein aana to ThiThak ThiThak ke chalna
na dhaDak ho jo nikalna to sar-e-KHatar pe Thokar
jo nazar guzar se Darna to jhijak jhijak ke chalna
jo nawazishon pe aana to ragaD ke dosh jaana
jo sar-e-itab hona to phaTak phaTak ke chalna
hai khuba 'nazir' ab to mere ji mein us sanam ka
wo akaD ke dhaj dikhana wo humak humak ke chalna

Ghazal
Shab-e-mah mein dekh us ka wo jhamak jhamak ke chalna
Nazeer Akbarabadi