اردو हिंदी
Shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun | Shaahi Shayari
shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun

Ghazal

Shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun

Jurat Qalandar Bakhsh

;

shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun
tasawwur bandh us ka subh tak kuchh kuchh main kahta hun

jo dekho ghaur kar to juz o kul bilkul mujhi mein hai
kabhi hun ek hubab-asa kabhi dariya ho bahta hun

tere rukne se pyare bas mera dam rukne lagta hai
nahin to bolta tu boliyan kin kin ki sahta hun

nahin milti hai fursat ghair use ghere hi rahte hain
kahun kuchh haal-e-dil bas DhunDhta itna subahta hun

ye josh-e-ashk ne tufan uThaya hai ki ai 'jurat'
kahe hai kishwar-e-tan mein tu koi dam ko Dhahta hun