shab-e-hijr aah kidhar gai kahun kis se nala kidhar gaya
jo guzar gai wo guzar gai jo guzar gaya wo guzar gaya
jo tumhaari aankh se gir paDa jo tumhaare dil se utar gaya
wo gharib jite-ji mar gaya wo kahan gaya wo kidhar gaya
koi apne bachne ka Dhab nahin koi zindagi ka sabab nahin
mere pas dil bhi to ab nahin wo idhar gae ye udhar gaya
koi dard ho to dawa karun na bane dawa to dua karun
use kya kahun use kya karun ki main un ke dil se utar gaya
use dil-lagi ka maza mila use aashiqi ka maza mila
use zindagi ka maza mila jo teri adaon pe mar gaya
koi dost hai ki ghulam hai koi ye bhi tarz-e-kalam hai
wo kahan gaya wo kahan gaya wo kidhar gaya wo kidhar gaya
tere zulm aur sitam sahe tere jaan-nisar bhi hum rahe
na raqib jis ko har ek kahe ki teri jafaon se Dar gaya
rahe kyun na sine mein dam KHafa ye naya sitam hai nai jafa
kahun kya safi' koi bewafa mere dil ko le kar mukar gaya

Ghazal
Shab-e-hijr aah kidhar gai kahun kis se nala kidhar gaya
Safi Aurangabadi