اردو हिंदी
Shab-e-firaq ke dam toDe hue lamho | Shaahi Shayari
shab-e-firaq ke dam toDe hue lamho

Ghazal

Shab-e-firaq ke dam toDe hue lamho

Mustahsin Khayal

;

shab-e-firaq ke dam toDe hue lamho
meri tarah se sitaron ka nauha sunte ho?

dayar-e-jaan mein bagulon ka raqs jari hai
mere udas KHayalo kiwaD mat kholo

gae dinon ki mohabbat ye din malal ke hain
nae dinon ki mohabbat ko taq par rakh do

kabhi milo to sahi bar-banae matlab hi
hamein bhi baKHsh do sarmaya-e-ghurur ab to

suna hai kaliyan chaTakti hain muskurane se
ye tajraba hi sahi muskura ke dekho to

tamam raat jo laDta raha andheron se
'KHayal' ab wo sitara bhi gum hua dekho