shab-charagh kar mujh ko ai KHuda andhere mein
sanp ban ke Dasta hai rasta andhere mein
aaina ujala hai zat ka hawala hai
phir bhi kis ne dekha hai aaina andhere mein
lekin ab bhi raushan hain KHwab meri aaankhon ke
chand to kahin ja kar so gaya andhere mein
jab bhi band kin aankhen khul gain meri aankhen
raushni se guzra hun barha andhere mein
aadmi ki qismat bhi aagahi ki qismat bhi
ibtida andhere se intiha andhere mein
apne ilm par 'shabnam' naz kya kare koi
ek qadam ujale mein dusra andhere mein
Ghazal
Shab-charagh kar mujhko ai KHuda andhere mein
Shabnam Rumani