shayad meri nigah mein koi shigaf tha
warna udas raat ka chehra to saf tha
ek lash tairti rahi barfili jhil mein
jhuTi tasalliyon ka amin zer-e-naf tha
boson ki rakh mein the sulagte sharar-e-lams
chehre ki silwaTon mein koi inkishaf tha
dozaKH ke gird gunge farishte the mahw-e-raqs
aur pisliyon ki Tis pe maila ghilaf tha
khiDki se jhankta hua wo pur-ghurur sar
taza hawa se us ka koi iKHtilaf tha
raste farar ke sabhi masdud to na the
apni shikast ka mujhe kyun e'tiraf tha
Ghazal
Shayad meri nigah mein koi shigaf tha
Ashar Najmi