shayad ki mar gaya mere andar ka aadmi
aankhen dikha raha hai barabar ka aadmi
suraj sitare koh o samundar falak zamin
sab ek kar chuka hai ye gaz bhar ka aadmi
aawaz aai pichhe palaT kar to dekhiye
pichhe palaT ke dekha to patthar ka aadmi
is ghar ka telephone abhi jag jaega
sahab ko le ke chal diya daftar ka aadmi
zarre se kam-bisat pe suraj-nigahiyan
'KHalid' bhi apna hai to muqaddar ka aadmi
Ghazal
Shayad ki mar gaya mere andar ka aadmi
Khalid Mahmood