shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun
kuchh qatl karun chun kar aur baad mein mar jaun
main be-sar-o-saman is bazar-e-tamaddun mein
namus buzurgon ka nilam na kar jaun
duniya-e-sukun-agin phir zer qadam hogi
sanson ke samundar se bas par utar jaun
mumkin hai ki mil jae wo aaKHiri sima tak
kya ai dil-e-pazh-murda main us ki Dagar jaun
ye aaKHiri KHwahish bhi shayad ki na puri ho
namnak hon kuchh aankhen jab chhoD ke ghar jaun
ehsas dila jaun yaron ki samaat ko
jhaTka sa lage ban kar ek aisi KHabar jaun
har shaKHs ke honTon par apne hi masail hain
behtar hai yahi 'arshad' chup-chap guzar jaun
Ghazal
Shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun
Razzaq Arshad