shayad abhi kami si masihaiyon mein hai
jo dard hai wo ruh ki gahraiyon mein hai
jis ko kabhi KHayal ka paikar na mil saka
wo aks mere zehn ki ranaiyon mein hai
kal tak to zindagi thi tamasha bani hui
aur aaj zindagi bhi tamashaiyon mein hai
hai kis liye ye wusat-e-daman-e-iltifat
dil ka sukun to inhi tanhaiyon mein hai
ye dasht-e-arzu hai yahan ek ek dil
tujh ko KHabar bhi hai tere saudaiyon mein hai
tanha nahin hai ai shab-e-giryan diye ki lau
yaadon ki ek sham bhi parchhaiyon mein hai
'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar
wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai
Ghazal
Shayad abhi kami si masihaiyon mein hai
Gulnar Aafreen