اردو हिंदी
Shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai | Shaahi Shayari
shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai

Ghazal

Shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai

Rais Siddiqui

;

shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai
ye yaad bhi sukhe hue phulon ki tarah hai

dil jis ka nahin harf-e-mohabbat se shanasa
wo zindagi viran mazaron ki tarah hai

fitrat mein hai daulat ke khilaunon se bahalna
ek dost mera shahr mein bachchon ki tarah hai

har raat charaghan sa raha karta hai ghar mein
ek zaKHm mere dil mein sitaron ki tarah hai

mat kholiyo mujh par kabhi ehsan ke dariche
ghairat mujhe pyari teri yaadon ki tarah hai

patthar sada zillat ke taaqub mein rahenge
kotahi-e-guftar gunahon ki tarah hai