sham se pahle teri sham na hone dunga
zindagi main tujhe nakaam na hone dunga
uDte uDte hi bikhar jaen par-o-baal ai kash
tair-e-jaan ko tah-e-dam na hone dunga
bewafa logon mein rahna teri qismat hi sahi
in mein shamil main tera nam na hone dunga
kal bhi chaha tha tujhe aaj bhi chaha hai ki hai
ye KHayal aisa jise KHam na hone dunga
lagne dunga na hawa tujh ko KHizan ki main 'zafar'
phul jaisa tera anjam na hone dunga
Ghazal
Sham se pahle teri sham na hone dunga
Sabir Zafar