اردو हिंदी
Sham ke sahil pe suraj ka safina aa laga | Shaahi Shayari
sham ke sahil pe suraj ka safina aa laga

Ghazal

Sham ke sahil pe suraj ka safina aa laga

Shamim Hanafi

;

sham ke sahil pe suraj ka safina aa laga
Dubti aankhon ko ye manzar bahut achchha laga

dard ke patthar sabhi aab-e-rawan mein ghul gae
shor tha kitna magar aankhon ko sannaTa laga

chaar-su phaili hui mauj-e-nafas ki gunj thi
mujh ko pyasi ret ka sahra bhi ek dariya laga

an-ginat sae teri taswir mein Dhalte gae
chandni jagi to har chehra tera chehra laga