sham kahti hai koi baat juda si likkhun
dil ka israr hai phir us ki udasi likkhun
aaj zaKHmon ko mohabbat ki ata ke badle
tohfa o tamgha-e-ahbab-shanasi likkhun
sath ho tum bhi mere sath hai tanhai bhi
kaun se dil se kise wajh-e-udasi likkhun
jis ne dil manga nahin chhin liya hai mujh se
aap mein aaun to wo aankh haya si likkhun
mujh pe ho jae teri chashm-e-karam gar pal bhar
phir main ye donon jahan baat zara si likkhun
dauDti hai jo mere KHun mein teri hasrat
dekh aaina use KHun ki pyasi likkhun
tujh se kyun dur hai majbur hai 'shahzad' tera
paDh sake tu to main sachchai zara si likkhun
Ghazal
Sham kahti hai koi baat juda si likkhun
Farhat Shahzad